kis se ja kar mangiye dard-e-mohabbat ki dawa
chaara-gar ab KHud hi bechaare nazar aane lage
Shakeel Badayuni
mere ham-nafas mere ham-nawa mujhe dost ban ke dagha na de
main hun dard-e-ishq se jaan-ba-lab mujhe zindagi ki dua na de
My companion, my intimate, be not a friend and yet betray
The pain of love is fatal now, for my life please do not pray
Shakeel Badayuni
mujhe chhoD de mere haal par tera kya bharosa hai chaaragar
ye teri nawazish-e-muKHtasar mera dard aur baDha na de
Leave me to my present state, I do not trust your medicine
Your mercy minor though may be,might increase my pain today
Shakeel Badayuni
wahi karwan wahi raste wahi zindagi wahi marhale
magar apne apne maqam par kabhi tum nahin kabhi hum nahin
Shakeel Badayuni
aisa na ho ye dard bane dard-e-la-dawa
aisa na ho ki tum bhi mudawa na kar sako
it should not be that this ache intensifies past remedy
it should not happen even you do not have a cure for me
Sufi Tabassum
jab bhi do aansu nikal kar rah gae
dard ke unwan badal kar rah gae
Sufi Tabassum
ek do zaKHm nahin jism hai sara chhalni
dard be-chaara pareshan hai kahan se nikle
Syed Hamid