imar-e-gham ki chaaragari kuchh zarur hai
wo dard dil mein de ki masiha kahen jise
Aasi Ghazipuri
dard-e-dil kitna pasand aaya use
main ne jab ki aah us ne wah ki
Aasi Ghazipuri
ek ye bhi to andaz-e-ilaj-e-gham-e-jaan hai
ai chaaragaro dard baDha kyun nahin dete
Ahmad Faraz
ye dil ka dard to umron ka rog hai pyare
so jae bhi to pahr do pahr ko jata hai
Ahmad Faraz
mujhe manzur gar tark-e-ta'alluq hai raza teri
magar TuTega rishta dard ka aahista aahista
Ahmad Nadeem Qasmi
is mein koi mera sharik nahin
mera dukh aah sirf mera hai
Akhtar Ansari
guzarte waqt ne kya kya na chaara-sazi ki
wagarna zaKHm jo us ne diya tha kari tha
Akhtar Hoshiyarpuri