jo zaKHm deta hai to be-asar hi deta hai
KHalish wo de ki jise bhul bhi na paun main
Khaleel Tanveer
dard ka zaiqa bataun kya
ye ilaqa zaban se bahar hai
Khursheed Akbar
ki tark-e-mohabbat to liya dard-e-jigar mol
parhez se dil aur bhi bimar paDa hai
Lala Madhav Ram Jauhar
dard ho dil mein to dawa kije
aur jo dil hi na ho to kya kije
Manzar Lakhnavi
gham mein kuchh gham ka mashghala kije
dard ki dard se dawa kije
Manzar Lakhnavi
higi miTTi ki mahak pyas baDha deti hai
dard barsat ki bundon mein basa karta hai
Marghoob Ali
dard-e-dil kya bayan karun 'rashki'
us ko kab e'tibar aata hai
Mohammad Ali Khan Rashki