hichkiyan raat dard tanhai
aa bhi jao tasalliyan de do
Nasir Jaunpuri
judaiyon ke zaKHm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi nind aa gai mujhe bhi sabr aa gaya
Nasir Kazmi
zaKHm kitne teri chahat se mile hain mujh ko
sochta hun ki kahun tujh se magar jaane de
Nazeer Baaqri
e-nam sa ye dard Thahar kyun nahin jata
jo bit gaya hai wo guzar kyun nahin jata
Nida Fazli
ye hamin hain ki tera dard chhupa kar dil mein
kaam duniya ke ba-dastur kiye jate hain
tis only I who with your ache, in my heart replete
silently the tasks assigned, do sincerely complete
Saba Akbarabadi
waqt har zaKHm ka marham to nahin ban sakta
dard kuchh hote hain ta-umr rulane wale
Sada Ambalvi
tum the to har ek dard tumhin se tha ibarat
ab zindagi KHanon mein basar hone lagi hai
Sarfraz Khalid