meri KHamoshiyon ki jhil mein phir 
kisi aawaz ka patthar gira hai
Aadil Raza Mansoori
safar ke baad bhi mujh ko safar mein rahna hai 
nazar se girna bhi goya KHabar mein rahna hai
Aadil Raza Mansoori
wahan shayad koi baiTha hua hai 
abhi khiDki mein ek jalta diya hai
Aadil Raza Mansoori
danista hum ne apne sabhi gham chhupa liye 
puchha kisi ne haal to bas muskura diye
Aafaque Siddiqui
tere labon ko mili hai shaguftagi gul ki 
hamari aankh ke hisse mein jharne aae hain
Aaga nisaar
ut nazar aaenge mashuqon ki kasrat hogi 
aaj but-KHana mein allah ki qudrat hogi
Aagha Akbarabadi
dar-ba-dar phirne ne meri qadr khoi ai falak 
un ke dil mein hi jagah milti jo KHalwat mangta
Aagha Akbarabadi

