meri taraf teri uThti nigah thoDi hai
tere gurez mein ab ishtibah thoDi hai
charagh jalte rahenge hawa baghaur ye sun
hunar pe tujh ko abhi dastgah thoDi hai
hai ek ishq se aamez raste ka safar
zara si dur ba-tarz-e-nibah thoDi hai
jaza-saza se kahin mawara hai mera amal
ye kar-e-ishq musalsal gunah thoDi hai
koi makin nahin kar sake sukunat-e-KHas
hamara dil abhi aisa tabah thoDi hai
hawaen aur shajar aur tairan-e-KHayal
ek aasman hamara gawah thoDi hai
ab us ke baad safar parak-e-tahayyur hai
bata raha hun tumhein intibah thoDi hai

Ghazal
Meri taraf teri uThti nigah thoDi hai
Mohsin Shakeel