dushman-e-jaan hi sahi sath to ek umr ka hai
dil se ab dard ki ruKHsat nahin dekhi jati
Akhtar Saeed Khan
dil mein leta hai chuTkiyan koi
hae is dard ki dawa kya hai
Akhtar Shirani
dard baDh kar dawa na ho jae
zindagi be-maza na ho jae
Aleem Akhtar
dard ka phir maza hai jab 'aKHtar'
dard KHud chaarasaz ho jae
Aleem Akhtar
lazzat-e-dard mili ishrat-e-ehsas mili
kaun kahta hai hum us bazm se nakaam aae
Ali Jawwad Zaidi
shab ke sannaTe mein ye kis ka lahu gata hai
sarhad-e-dard se ye kis ki sada aati hai
Ali Sardar Jafri
ek dard ho bas aaTh pahar dil mein ki jis ko
taKHfif dawa se ho na taskin dua se
Altaf Hussain Hali