ab ye bhi nahin Thik ki har dard miTa den
kuchh dard kaleje se lagane ke liye hain
Jaan Nisar Akhtar
ishq ki choT ka kuchh dil pe asar ho to sahi
dard kam ho ya ziyaada ho magar ho to sahi
Jalal Lakhnavi
dam-ba-dam uThti hain kis yaad ki lahren dil mein
dard rah rah ke ye karwaT si badalta kya hai
Jamal Panipati
dard ho dukh ho to dawa kije
phaT paDe aasman to kya kije
Jigar Barelvi
ishq ko dijiye junun mein farogh
dard se dard ki dawa kijiye
Jigar Barelvi
aadat ke baad dard bhi dene laga maza
hans hans ke aah aah kiye ja raha hun main
Jigar Moradabadi
dard o gham dil ki tabiat ban gae
ab yahan aaram hi aaram hai
the heart is accustomed to sorrow and pain
in lasting comfort now I can remain
Jigar Moradabadi