aaj aaenge kal aaenge kal aaenge aaj aaenge
muddat se yahi wo kahte hain muddat se yahi hum sunte hain
Nooh Narvi
aap aae ban paDi mere dil-e-nashad ki
aap bigDe ban gai mere dil-e-nashad pa
Nooh Narvi
aap jo kahte hain sab hazrat-e-naseh hai baja
kya karun zehn se ye lafz utar jate hain
Nooh Narvi
aate aate rah par wo aaenge
jate jate bad-gumani jaegi
Nooh Narvi
abhi us qayamat ko main kya kahun
jo guzregi ji se guzarne ke baad
Nooh Narvi
achchhe bure ko wo abhi pahchante nahin
kamsin hain bhole-bhaale hain kuchh jaante nahin
Nooh Narvi
ada aai jafa aai ghurur aaya hijab aaya
hazaron aafaten le kar hasinon par shabab aaya
Nooh Narvi
ai dair-o-haram walo tum dil ki taraf dekho
kabe ka ye kaba hai but-KHane ka but-KHana
Nooh Narvi
ai 'nuh' aate jate hain donon gharon mein hum
but-KHana hai qarib bahut KHanqah se
Nooh Narvi