kahin na un ki nazar se nazar kisi ki laDe
wo is lihaz se aankhen jhukae baiThe hain
Nooh Narvi
kah rahi hai ye teri taswir bhi
main kisi se bolne wali nahin
Nooh Narvi
kaba ho ki but-KHana ho ai hazrat-e-waiz
jaenge jidhar aap na jaenge udhar hum
Nooh Narvi
kaba ho dair ho donon mein hai jalwa us ka
ghaur se dekhe agar dekhne wala us ka
Nooh Narvi
jo waqt jaega wo palaT kar na aaega
din raat chahiye sahar-o-sham ka lihaz
Nooh Narvi
jo ahl-e-zauq hain wo lutf uTha lete hain chal phir kar
gulistan ka gulistan mein bayaban ka bayaban mein
Nooh Narvi
jigar ki choT upar se kahin malum hoti hai
jigar ki choT upar se nahin malum hoti hai
Nooh Narvi
jab zikr kiya main ne kabhi wasl ka un se
wo kahne lage pak mohabbat hai baDi chiz
Nooh Narvi
jaane ko jae fasl-e-gul aane ko aae har baras
hum gham-zadon ke waste jaise chaman waise qafas
Nooh Narvi