milna jo na ho tum ko to kah do na milenge
ye kya kabhi parson hai kabhi kal hai kabhi aaj
Nooh Narvi
kambaKHt kabhi ji se guzarne nahin deti
jine ki tamanna mujhe marne nahin deti
Nooh Narvi
KHak ho kar hi hum pahunch jate
us taraf ki magar hawa bhi nahin
Nooh Narvi
KHuda ke Dar se hum tum ko KHuda to kah nahin sakte
magar lutf-e-KHuda qahr-e-KHuda shan-e-KHuda tum ho
For fear of God, to you cannot, ascribe divinity
but joy divine, wrath divine, glory divine you be
Nooh Narvi
KHuda ke sajde buton ke aage phir aise sajde ki sar na uTThe
ajab tarah ki hamari niyyat nai tarah ki namaz mein hai
Nooh Narvi
koi yahan se chal diya raunaq-e-baam-o-dar nahin
dekh raha hun ghar ko main ghar hai magar wo ghar nahin
Nooh Narvi
kuchh aur ban paDi na sawal-e-visal par
hairat se dekh kar wo mere munh ko rah gae
Nooh Narvi
laila hai na majnun hai na shirin hai na farhad
ab rah gae hain aashiq o mashuq mein hum aap
Nooh Narvi
majra-e-qais mere zehn mein mahfuz hai
ek diwane se suniye ek diwane ka haal
Nooh Narvi