dil mein ghuT ghuT kar inhen rahte zamana ho gaya
meri fariyaaden bhi ab aamada-e-fariyaad hain
Nooh Narvi
dil ko tum shauq se le jao magar yaad rahe
ye na mera na tumhaara na kisi ka hoga
Nooh Narvi
dil ke do hisse jo kar Dale the husn-o-ishq ne
ek sahra ban gaya aur ek gulshan ho gaya
Nooh Narvi
dil jo de kar kisi kafir ko pareshan ho jae
aafiyat us ki hai is mein ki musalman ho jae
Nooh Narvi
dil apna kahin Thahre to hum bhi kahin Thahren
is kuche mein aa rahna us kuche mein ja rahna
Nooh Narvi
dikhae panch aalam ek payam-e-shauq ne mujh ko
ulajhna ruThna laDna bigaDna dur ho jaana
Nooh Narvi