chalo 'nuh' tum ko dikha laen tum ne
na mai-KHana dekha na but-KHana dekha
Nooh Narvi
chahiye thi shama is tarik ghar ke waste
KHana-e-dil mein charagh-e-ishq raushan ho gaya
Nooh Narvi
hari mahfil mein un ko chheDne ki kya zarurat thi
janab-e-nuh tum sa bhi na koi be-adab hoga
Nooh Narvi
e-wajh mohabbat se nahin bol rahe hain
wo baaton hi baaton mein mujhe khol rahe hain
Nooh Narvi
arson rahe hain aap hamari nigah mein
ye kya kaha ki hum tumhein pahchante nahin
Nooh Narvi
arhaman us ke hain shaiKH us ke hain rahib us ke
dair us ka haram us ka hai kalisa us ka
Nooh Narvi
arbaad-e-wafa ho kar masjud-e-jahan dil ho
aadhe mein bane masjid aadhe mein sanam-KHana
Nooh Narvi
asiran-e-qafas ko wasta kya in jhamelon se
chaman mein kab KHizan aai chaman mein kab bahaar aai
Nooh Narvi
ashkon ke Tapakne par tasdiq hui us ki
be-shak wo nahin uThte aankhon se jo girte hain
Nooh Narvi