aate aate rah par wo aaenge
jate jate bad-gumani jaegi
Nooh Narvi
aap jo kahte hain sab hazrat-e-naseh hai baja
kya karun zehn se ye lafz utar jate hain
Nooh Narvi
aap aae ban paDi mere dil-e-nashad ki
aap bigDe ban gai mere dil-e-nashad pa
Nooh Narvi
dunga jawab main bhi baDi shadd-o-mad ke sath
likkha hai us ne mujh ko baDe karr-o-farr se KHat
Nooh Narvi
is kam-sini mein ho unhen mera KHayal kya
wo kai baras ke hain abhi sin kya hai sal kya
Nooh Narvi
ek sitam Dhane mein fard ek sitam sahne mein
al-gharaz hai na tumhaara na mera dil naqis
Nooh Narvi
husn-e-mutlaq ka nishan kabe mein to milta nahin
ehtiyat aao chal kar dekh len but-KHana hum
Nooh Narvi
hazaron ranj-e-dil de de ke mashuqon ko jhele hain
ye papaD kis ne bele hain ye papaD main ne bele mein
Nooh Narvi
hamein israr milne par tumhein inkar milne se
na tum mano na hum manen na ye kam ho na wo kam ho
Nooh Narvi