saqi jo dil se chahe to aae wo zamana
har shaKHs ho sharabi har ghar sharab-KHana
Nooh Narvi
puri na agar ho to koi chiz nahin hai
nikle jo mere dil se to hasrat hai baDi chiz
Nooh Narvi
pamal ho ke bhi na uTha ku-e-yar se
main us gali mein saya-e-diwar ho gaya
Nooh Narvi
nuh baiThe hain chaarpai par
chaarpai pe nuh baiThe hain
Nooh Narvi
na milo khul ke to chori ki mulaqat rahe
hum bulaenge tumhein raat gae raat rahe
Nooh Narvi
mujh ko ye fikr ki dil muft gaya hathon se
un ko ye naz ki hum ne use chhina kaisa
Nooh Narvi
mujh ko nazron ke laDane se hai kaam
aap ko aankhen dikhane se gharaz
Nooh Narvi
mujh ko KHayal-e-abru-e-KHamdar ho gaya
KHanjar tera gale ka mere haar ho gaya
Nooh Narvi
ai 'nuh' tauba ishq se kar li thi aap ne
phir tank-jhank kyun hai ye phir dekh-bhaal kya
Nooh Narvi