allah-re un ke husn ki moajiz-numaiyan
jis baam par wo aaen wahi koh-e-tur ho
Nooh Narvi
dam jo nikla to muddaa nikla
ek ke sath dusra nikla
Nooh Narvi
ai 'nuh' na tark-e-shaeri ho
be-kar-mabash kuchh kiya ka
Nooh Narvi
ai 'nuh' khul chale the wo hum se shab-e-visal
itne mein aaftab numudar ho gaya
Nooh Narvi
ai 'nuh' aate jate hain donon gharon mein hum
but-KHana hai qarib bahut KHanqah se
Nooh Narvi
ai dair-o-haram walo tum dil ki taraf dekho
kabe ka ye kaba hai but-KHane ka but-KHana
Nooh Narvi
ada aai jafa aai ghurur aaya hijab aaya
hazaron aafaten le kar hasinon par shabab aaya
Nooh Narvi
achchhe bure ko wo abhi pahchante nahin
kamsin hain bhole-bhaale hain kuchh jaante nahin
Nooh Narvi
abhi us qayamat ko main kya kahun
jo guzregi ji se guzarne ke baad
Nooh Narvi