mujh tak us mahfil mein phir jam-e-sharab aane ko hai
umr-e-rafta palTi aati hai shabab aane ko hai
Fani Badayuni
itni pi jae ki miT jae main aur tu ki tamiz
yani ye hosh ki diwar gira di jae
the formality of you and I should in wine be drowned
meaning that these barriers of sobriety be downed
Farhat Shahzad
aae the hanste khelte mai-KHane mein 'firaq'
jab pi chuke sharab to sanjida ho gae
we came to the tavern all gay and frolicsome
now having drunk the wine, somber have become
Firaq Gorakhpuri
jam le kar mujh se wo kahta hai apne munh ko pher
ru-ba-ru yun tere mai pine se sharmate hain hum
Ghamgeen Dehlvi
indon ko waz pand na kar fasl-e-gul mein shaiKH
aisa na ho sharab uDe KHanqah mein
Habeeb Musvi
meri sharab ki tauba pe ja na ai waiz
nashe ki baat nahin e'tibar ke qabil
Hafeez Jaunpuri
pi kar do ghunT dekh zahid
kya tujh se kahun sharab kya hai
Hafeez Jaunpuri