tumhaari aankhon ki tauhin hai zara socho
tumhaara chahne wala sharab pita hai
Munawwar Rana
madhosh hi raha main jahan-e-KHarab mein
gundhi gai thi kya meri miTTi sharab mein
Muztar Khairabadi
sar-chashma-e-baqa se hargiz na aab lao
hazrat KHizar kahin se ja kar sharab lao
Nazeer Akbarabadi
kuchh bhi bacha na kahne ko har baat ho gai
aao kahin sharab piyen raat ho gai
Nida Fazli
hum intizar karen hum ko itni tab nahin
pila do tum hamein pani agar sharab nahin
Nooh Narvi
jis musalle pe chhiDkiye na sharab
apne aain mein wo pak nahin
Qayem Chandpuri
mai pi jo chahe aatish-e-dozaKH se tu najat
jalta nahin wo uzw jo tar ho sharab mein
Qayem Chandpuri