KHali sahi bala se tasalli to dil ko ho
rahne do samne mere saghar sharab ka
Amirullah Tasleem
mere ashk bhi hain is mein ye sharab ubal na jae
mera jam chhune wale tera hath jal na jae
my tears too this does contain,this wine may start to boil
be careful for my goblet burns with rare intensity
Anwar Mirzapuri
KHushk baaton mein kahan hai shaiKH kaif-e-zindagi
wo to pi kar hi milega jo maza pine mein hai
o priest where is the pleasure in this world when dry and sere
tis only when one drinks will then the joy truly appea
Arsh Malsiyani
'arzu' jam lo jhijak kaisi
pi lo aur dahshat-e-gunah gai
Arzoo Lakhnavi
sharab band ho saqi ke bas ki baat nahin
tamam shahar hai do chaar das ki baat nahin
Asad Multani
mushkil hai imtiyaz-e-azab-o-sawab mein
pita hun main sharab mila kar gulab mein
Aziz Hyderabadi
shishe khule nahin abhi saghar chale nahin
uDne lagi pari ki tarah bu sharab ki
Aziz Hyderabadi