اردو हिंदी
Sharab Shayari | Shaahi Shayari

Sharab

82 Shers

mai-kash hun wo ki puchhta hun uTh ke hashr mein
kyun ji sharab ki hain dukanen yahan kahin

Rind Lakhnavi




achchhi pi li KHarab pi li
jaisi pai sharab pi li

Riyaz Khairabadi




ye sar-ba-mohr botalen jo hain sharab ki
raaten hain in mein band hamare shabab ki

Riyaz Khairabadi




e piye hi sharab se nafrat
ye jahaalat nahin to phir kya hai

without drinking, to abhor wine so
what is this if not igorant stupidity

Sahir Ludhianvi




shukriya ai gardish-e-jam-e-sharab
main bhari mahfil mein tanha ho gaya

Salam Machhli shahri




khuli faza mein agar laDkhaDa ke chal na saken
to zahr pina hai behtar sharab pine se

Shahzad Ahmad




muddat se aarzu hai KHuda wo ghaDi kare
hum tum piyen jo mil ke kahin ek ja shara

Shaikh Zahuruddin Hatim