zahid ko raT lagi hai sharab-e-tuhur ki
aaya hai mai-kade mein to sujhi hai dur ki
Hafeez Jaunpuri
zahid sharab-e-nab ho ya baada-e-tuhur
pine hi par jab aae haram o halal kya
Hafeez Jaunpuri
fasl-e-bahaar aai piyo sufiyo sharab
bas ho chuki namaz musalla uThaiye
Haidar Ali Aatish
mai na ho bu hi sahi kuchh to ho rindon ke liye
isi hile se bujhegi hawas-e-jam-e-shara
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
mai-kashi mein rakhte hain hum mashrab-e-durd-e-sharab
jam-e-mai chalta jahan dekha wahan par jam gae
Hasrat Azimabadi
shab jo hum se hua muaf karo
nahin pi thi bahak gae honge
Jaun Eliya
hath phir baDh raha hai su-e-jam
zindagi ki udasiyon ko salam
Javed Kamal Rampuri