ai mohtasib na phenk mere mohtasib na phenk
zalim sharab hai are zalim sharab hai
Jigar Moradabadi
garche ahl-e-sharab hain hum log
ye na samjho KHarab hain hum log
Jigar Moradabadi
kidhar se barq chamakti hai dekhen ai waiz
main apna jam uThata hun tu kitab uTha
where does lightening strike, priest, let us look
I will raise my glass you raise your holy book
Jigar Moradabadi
pahle sharab zist thi ab zist hai sharab
koi pila raha hai piye ja raha hun main
Jigar Moradabadi
sab ko mara 'jigar' ke sheron ne
aur 'jigar' ko sharab ne mara
Jigar Moradabadi
uTha surahi ye shisha wo jam le saqi
phir is ke baad KHuda ka bhi nam le saqi
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
janab-e-shaiKH ko sujhe na phir haram o halal
abhi piyen jo mile muft ki sharab kahin
Lala Madhav Ram Jauhar