hum ko bhi KHush-numa nazar aai hai zindagi
jaise sarab dur se dariya dikhai de
Mahshar Badayuni
kisi ki bazm ke haalat ne samjha diya mujh ko
ki jab saqi nahin apna to mai apni na jam apna
Mahshar Inayati
fareb-e-saqi-e-mahfil na puchhiye 'majruh'
sharab ek hai badle hue hain paimane
Majrooh Sultanpuri
aaKHir gil apni sarf-e-dar-e-mai-kada hui
pahunchi wahin pe KHak jahan ka KHamir tha
Meerza Jawan Bakht Jahandar
manen jo meri baat muridan-e-be-riya
den shaiKH ko kafan to Dubo kar sharab mein
Mirza Mayal Dehlvi
talKHi tumhaare waz mein hai waizo magar
dekho to kis maze ki hai talKHi sharab mein
Mirza Mayal Dehlvi
shikast-e-tauba ki tamhid hai teri tauba
zaban pe tauba 'mubarak' nigah saghar pa
Mubarak Azimabadi