sharab pite hain to jagte hain sari raat
mudam aabid-e-shab-zinda-dar hum bhi hain
Aagha Akbarabadi
ta-marg mujh se tark na hogi kabhi namaz
par nashsha-e-sharab ne majbur kar diya
Aagha Akbarabadi
'adam' roz-e-ajal jab qismaten taqsim hoti thin
muqaddar ki jagah main saghar-o-mina uTha laya
Abdul Hamid Adam
arish sharab-e-arsh hai ye soch kar 'adam'
barish ke sab huruf ko ulTa ke pi gaya
Abdul Hamid Adam
mujhe tauba ka pura ajr milta hai usi saat
koi zohra-jabin pine pe jab majbur karta hai
Abdul Hamid Adam
saqi mujhe sharab ki tohmat nahin pasand
mujh ko teri nigah ka ilzam chahiye
the charge of being affected by wine, I do despise
I want to be accused of feasting from your eyes
Abdul Hamid Adam
shikan na Dal jabin par sharab dete hue
ye muskuraati hui chiz muskura ke pila
Abdul Hamid Adam