apni haalat ka KHud ehsas nahin hai mujh ko
main ne auron se suna hai ki pareshan hun main
Aasi uldani
taklif miT gai magar ehsas rah gaya
KHush hun ki kuchh na kuchh to mere pas rah gaya
Abdul Hamid Adam
KHuda aise ehsas ka nam hai
rahe samne aur dikhai na de
Bashir Badr
aagahi karb wafa sabr tamanna ehsas
mere hi sine mein utre hain ye KHanjar sare
Bashir Farooqi
main us ke samne se guzarta hun is liye
tark-e-talluqat ka ehsas mar na jae
it is for this reason, I often pass her by
the pain of our breaking up, may not ever die
Fana Nizami Kanpuri
mujh ko ehsas-e-rang-o-bu na hua
yun bhi akasr bahaar aai hai
Habeeb Ahmad Siddiqui
maut ki pahli alamat sahib
yahi ehsas ka mar jaana hai
Idris Babar