KHuda hum ko aisi KHudai na de
ki apne siwa kuchh dikhai na de
KHata-war samjhegi duniya tujhe
ab itni ziyaada safai na de
hanso aaj itna ki is shor mein
sada siskiyon ki sunai na de
ghulami ko barkat samajhne lagen
asiron ko aisi rihai na de
KHuda aise ehsas ka nam hai
rahe samne aur dikhai na de
Ghazal
KHuda hum ko aisi KHudai na de
Bashir Badr