taklif miT gai magar ehsas rah gaya
KHush hun ki kuchh na kuchh to mere pas rah gaya
pal-bhar mein us ki shakl na aai agar nazar
yak-dam ulajh ke rishta-e-anfas rah gaya
photo mein dil ki choT na tabdil ho saki
naqlen utar utar ke akkas rah gaya
wo jhuTe motiyon ki chamak par phisal gai
main hath mein liye hue almas rah gaya
ek ham-safar ko kho ke ye haalat hui 'adam'
jangal mein jis tarah koi be-as rah gaya
Ghazal
Taklif miT gai magar ehsas rah gaya
Abdul Hamid Adam