اردو हिंदी
Ya rab meri hayat se gham ka asar na jae | Shaahi Shayari
ya rab meri hayat se gham ka asar na jae

Ghazal

Ya rab meri hayat se gham ka asar na jae

Fana Nizami Kanpuri

;

ya rab meri hayat se gham ka asar na jae
jab tak kisi ki zulf-e-pareshan sanwar na jae

wo aankh kya jo aariz o ruKH par Thahar na jae
wo jalwa kya jo dida o dil mein utar na jae

mere junun ko zulf ke sae se dur rakh
raste mein chhanw pa ke musafir Thahar na jae

main aaj gulsitan mein bula lun bahaar ko
lekin ye chahta hun KHizan ruTh kar na jae

paida hue hain ab to masiha nae nae
bimar apni maut se pahle hi mar na jae

kar li hai tauba is liye waiz ke samne
ilzam-e-tishnagi mere saqi ke sar na jae

saqi pila sharab magar ye rahe KHayal
aalam-e-rozgar ka chehra utar na jae

main us ke samne se guzarta hun is liye
tark-e-talluqat ka ehsas mar na jae

masrur-e-did-e-husn hai is waste 'fana'
duniya ke aib par kabhi meri nazar na jae