اردو हिंदी
Ek din KHwab-nagar jaana hai | Shaahi Shayari
ek din KHwab-nagar jaana hai

Ghazal

Ek din KHwab-nagar jaana hai

Idris Babar

;

ek din KHwab-nagar jaana hai
aur yunhi KHak-basar jaana hai

umr bhar ki ye jo hai be-KHwabi
ye usi KHwab ka harjaana hai

ghar se kis waqt chale the hum log
KHair ab kaun sa ghar jaana hai

maut ki pahli alamat sahib
yahi ehsas ka mar jaana hai

kisi taqrib-e-judai ke baghair
Thik hai jao agar jaana hai

shor ki dhul mein gum galiyon se
dil ko chup-chap guzar jaana hai