logo hum chhan chuke ja ke samundar sare
us ne muTThi mein chhupa rakkhe hain gauhar sare
zaKHm-e-dil jag uThe phir wahi din yar aae
phir tasawwur pe ubhar aae wo manzar sare
tishnagi meri ajab ret ka manzar nikli
mere honTon pe hue KHushk samundar sare
us ko ghamgin jo paya to main kuchh kah na saka
bujh gae mere dahakte hue tewar sare
aagahi karb wafa sabr tamanna ehsas
mere hi sine mein utre hain ye KHanjar sare
dosto tum ne jo phenke the mere aangan mein
lag gae ghar ki fasilon mein wo patthar sare
KHun-e-dil aur nahin rang-e-hina aur nahin
ek hi rang mein hain shahr ke manzar sare
qatl-gah mein ye charaghan hai mere dam se 'bashir'
mujh ko dekha to chamakne lage KHanjar sare
Ghazal
Logo hum chhan chuke ja ke samundar sare
Bashir Farooqi