haal-e-pareshan sun kar mera aankh mein us ki aansu hain
main ne us se jhuT kaha ho aisa bhi ho sakta hai
Malikzada Manzoor Ahmad
yun to ashkon se bhi hota hai alam ka izhaar
hae wo gham jo tabassum se ayan hota hai
Maqbool Naqsh
ashk-e-gham dida-e-pur-nam se sambhaale na gae
ye wo bachche hain jo man bap se pale na gae
Meer Anees
kya kahun kis tarah se jita hun
gham ko khata hun aansu pita hun
Meer Asar
aur kuchh tohfa na tha jo late hum tere niyaz
ek do aansu the aankhon mein so bhar laen hain hum
Meer Hasan
itne aansu to na the dida-e-tar ke aage
ab to pani hi bhara rahta hai ghar ke aage
Meer Hasan
oz achchhe nahin lagte aansu
KHas mauqon pe maza dete hain
Mohammad Alvi