اردو हिंदी
Tark-e-mohabbat apni KHata ho aisa bhi ho sakta hai | Shaahi Shayari
tark-e-mohabbat apni KHata ho aisa bhi ho sakta hai

Ghazal

Tark-e-mohabbat apni KHata ho aisa bhi ho sakta hai

Malikzada Manzoor Ahmad

;

tark-e-mohabbat apni KHata ho aisa bhi ho sakta hai
wo ab bhi paband-e-wafa ho aisa bhi ho sakta hai

darwaze par aahaT sun kar us ki taraf kyun dhyan gaya
aane wali sirf hawa ho aisa bhi ho sakta hai

haal-e-pareshan sun kar mera aankh mein us ki aansu hain
main ne us se jhuT kaha ho aisa bhi ho sakta hai

arz-e-talab par us ki chup se zahir hai inkar magar
shayad wo kuchh soch raha ho aisa bhi ho sakta hai

hadd-e-nazar tak sirf dhuan tha barq pe kyun ilzam rakhen
aatish-e-gul se bagh jala ho aisa bhi ho sakta hai

KHun bahana us ka shewa hai to sahi 'manzur' magar
hath pe us ke rang-e-hina ho aisa bhi ho sakta hai