اردو हिंदी
Faeda aane se aise aa ke pachhtaen hain hum | Shaahi Shayari
faeda aane se aise aa ke pachhtaen hain hum

Ghazal

Faeda aane se aise aa ke pachhtaen hain hum

Meer Hasan

;

faeda aane se aise aa ke pachhtaen hain hum
uTh gae jab yan ke guzre aah tab aaen hain hum

aur kuchh tohfa na tha jo late hum tere niyaz
ek do aansu the aankhon mein so bhar laen hain hum

tarfa haalat hai na wo aata hai na jata hai ji
aur yahan be-taqati se dil ki ghabraen hain hum

jis taraf jate wahan lagta nahin kya kijiye
is dil-e-wahshi ke hathon saKHt uktaen hain hum

dekhiye ab kya jawab aawe wahan se ham-nashin
nama to likh kar 'hasan' ka us ko pahunchaen hain hum