ek aansu ne Duboya mujh ko un ki bazm mein
bund bhar pani se sari aabru pani hui
a single tear caused my fall in her company
just a drop of water drowned my dignity
Sheikh Ibrahim Zauq
nahin bujhti hai pyas aansu sin lekin
karen kya ab to yan pani yahi hai
Siraj Aurangabadi
jab bhi do aansu nikal kar rah gae
dard ke unwan badal kar rah gae
Sufi Tabassum
khul ke rone ki tamanna thi hamein
ek do aansu nikal kar rah gae
Sufi Tabassum
kitni fariyaaden labon par ruk gain
kitne ashk aahon mein Dhal kar rah gae
Sufi Tabassum
dam-e-ruKHsat wo chup rahe 'abid'
aankh mein phailta gaya kajal
Syed Aabid Ali Aabid
dil ki har baat kah gae aansu
gir ke aankhon se rah gae aansu
Syed Basit Hussain Mahir Lakhnavi