nazar bacha ke jo aansu kiye the main ne pak
KHabar na thi yahi dhabbe banenge daman ke
Arzoo Lakhnavi
ye aansu DhunDta hai tera daman
musafir apni manzil jaanta hai
Asad Bhopali
phir meri aankh ho gai namnak
phir kisi ne mizaj puchha hai
Asrar-ul-Haq Majaz
ichhi thin har taraf aankhen hi aankhen
koi aansu gira tha yaad hoga
Bashir Badr
koi baadal ho to tham jae magar ashk mere
ek raftar se din raat barabar barse
Bashir Badr
main jis ki aankh ka aansu tha us ne qadr na ki
bikhar gaya hun to ab ret se uThae mujhe
Bashir Badr
shabnam ke aansu phul par ye to wahi qissa hua
aankhen meri bhigi hui chehra tera utra hua
Bashir Badr