jo aag lagai thi tum ne us ko to bujhaya ashkon ne
jo ashkon ne bhaDkai hai us aag ko ThanDa kaun kare
Moin Ahsan Jazbi
daman ashkon se tar karen kyun-kar
raaz ko mushtahar karen kyun-ka
Mubarak Azimabadi
ek aansu bhi hukumat ke liye KHatra hai
tum ne dekha nahin aaankhon ka samundar hona
Munawwar Rana
nikalne hi nahin deti hain ashkon ko meri aankhen
ki ye bachche hamesha man ki nigarani mein rahte hain
Munawwar Rana
meri ruh ki haqiqat mere aansuon se puchho
mera majlisi tabassum mera tarjuman nahin hai
Mustafa Zaidi
is qadar roya hun teri yaad mein
aaine aankhon ke dhundle ho gae
Nasir Kazmi
jo baat hijr ki aati to apne daman se
wo aansu ponchhta jata tha aur main rota tha
Nazeer Akbarabadi