a-qadr-e-zauq mere ashk-e-gham ki tarjumani hai
koi kahta hai moti hai koi kahta hai pani hai
Figar Unnavi
yaad ashkon mein baha di hum ne
aa ki har baat bhula di hum ne
Ghulam Mohammad Qasir
aankhon se aansuon ke marasim purane hain
mehman ye ghar mein aaen to chubhta nahin dhuan
Gulzar
wo puchhte hain dil-e-mubtala ka haal aur hum
jawab mein faqat aansu bahae jate hain
Hadi Machlishahri
aankh kam-baKHt se us bazm mein aansu na ruka
ek qatre ne Duboya mujhe dariya ho ka
Hafeez Jalandhari
asa hon ya na hon nale ye nalon ka muqaddar hai
'hafiz' aansu baha kar ji to halka kar liya main ne
Hafeez Merathi
do ghaDi dard ne aankhon mein bhi rahne na diya
hum to samjhe the banenge ye sahaare aansu
Hakeem Nasir