aag duniya ki lagai hui bujh jaegi
koi aansu mere daman pe bikhar jaane de
Nazeer Baaqri
ashkon ke Tapakne par tasdiq hui us ki
be-shak wo nahin uThte aankhon se jo girte hain
Nooh Narvi
meri aankhon mein hain aansu tere daman mein bahaar
gul bana sakta hai tu shabnam bana sakta hun main
Nushur Wahidi
un ke ruKHsar pe Dhalke hue aansu tauba
main ne shabnam ko bhi shoalon pe machalte dekha
Sahir Ludhianvi
yun hi aankhon mein aa gae aansu
jaiye aap koi baat nahin
Salam Machhli shahri
shabnam ne ro ke ji zara halka to kar liya
gham us ka puchhiye jo na aansu baha sake
Salam Sandelvi
jo teri bazm se uTTha wo is tarah uTTha
kisi ki aankh mein aansu kisi ke daman mein
Salik Lakhnavi