saqiya ek nazar jam se pahle pahle
hum ko jaana hai kahin sham se pahle pahle
Ahmad Faraz
hoti hai sham aankh se aansu rawan hue
ye waqt qaidiyon ki rihai ka waqt hai
Ahmad Mushtaq
jab sham utarti hai kya dil pe guzarti hai
sahil ne bahut puchha KHamosh raha pani
Ahmad Mushtaq
as ek sham ka har sham intizar raha
magar wo sham kisi sham bhi nahin aai
Ajmal Siraj
kab dhup chali sham Dhali kis ko KHabar hai
ek umr se main apne hi sae mein khaDa hun
Akhtar Hoshiyarpuri
asr ke waqt mere pas na baiTh
mujh pe ek sanwli ka saya hai
Ali Zaryoun
sae Dhalne charag jalne lage
log apne gharon ko chalne lage
Amjad Islam Amjad