ab kaun muntazir hai hamare liye wahan
sham aa gai hai lauT ke ghar jaen hum to kya
Muneer Niyazi
yaad hai ab tak tujh se bichhaDne ki wo andheri sham mujhe
tu KHamosh khaDa tha lekin baaten karta tha kajal
Nasir Kazmi
sham paDte hi kisi shaKHs ki yaad
kucha-e-jaan mein sada karti hai
Parveen Shakir
wo na aaega hamein malum tha is sham bhi
intizar us ka magar kuchh soch kar karte rahe
Parveen Shakir
tumhaare shahr ka mausam baDa suhana lage
main ek sham chura lun agar bura na lage
Qaisar-ul-Jafri
Dhalegi sham jahan kuchh nazar na aaega
phir is ke baad bahut yaad ghar ki aaegi
Rajinder Manchanda Bani
sham Dhale ye soch ke baiThe hum apni taswir ke pas
sari ghazlen baiThi hongi apne apne mir ke pas
Saghar Azmi