hum bahut dur nikal aae hain chalte chalte
ab Thahar jaen kahin sham ke Dhalte Dhalte
Iqbal Azeem
tum parindon se ziyaada to nahin ho aazad
sham hone ko hai ab ghar ki taraf lauT chalo
Irfan Siddiqi
us ki aankhon mein utar jaane ko ji chahta hai
sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Kafeel Aazar Amrohvi
ab yaad kabhi aae to aaine se puchho
'mahbub-KHizan' sham ko ghar kyun nahin jate
Mahboob Khizan
kaun samjhe hum pe kya guzri hai 'naqsh'
dil laraz uThta hai zikr-e-sham se
Mahesh Chandra Naqsh
doston se mulaqat ki sham hai
ye saza kaT kar apne ghar jaunga
Mazhar Imam
ab to chup-chap sham aati hai
pahle chiDiyon ke shor hote the
Mohammad Alvi