ujla tera bartan hai aur saf tera pani
ek umr ka pyasa hun mujh ko bhi pila pani
hai ek KHat-e-nadida dariya-e-mohabbat mein
hota hai jahan aa kar pani se juda pani
donon hi to sachche the ilzam kise dete
kanon ne kaha sahra aankhon ne suna pani
kya kya na mili miTTi kya kya na dhuan phaila
kala na hua sabza maila na hua pani
jab sham utarti hai kya dil pe guzarti hai
sahil ne bahut puchha KHamosh raha pani
phir dekh ki ye duniya kaisi nazar aati hai
'mushtaq' mai-e-gham mein thoDa sa mila pani
Ghazal
Ujla tera bartan hai aur saf tera pani
Ahmad Mushtaq