wo rang-e-tamanna hai ki sad-rang hua hun
dekho to nazar hun jo na dekho to sada hun
ya itna subuk tha ki hawa le uDi mujh ko
ya itna giran hun ki sar-e-rah paDa hun
chehre pe ujala tha gareban mein sahar thi
wo shaKHs ajab tha jise raste mein mila hun
kab dhup chali sham Dhali kis ko KHabar hai
ek umr se main apne hi sae mein khaDa hun
jab aandhiyan aai hain to main nikla na ghar se
patton ke taaqub mein magar dauD paDa hun
Ghazal
Wo rang-e-tamanna hai ki sad-rang hua hun
Akhtar Hoshiyarpuri