kabhi to aasman se chand utre jam ho jae
tumhaare nam ki ek KHub-surat sham ho jae
Bashir Badr
main tamam din ka thaka hua tu tamam shab ka jaga hua
zara Thahar ja isi moD par tere sath sham guzar lun
Bashir Badr
na udas ho na malal kar kisi baat ka na KHayal kar
kai sal baad mile hain hum tere nam aaj ki sham hai
Bashir Badr
sham bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udas udas
dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gain
Firaq Gorakhpuri
shamen kisi ko mangti hain aaj bhi 'firaq'
go zindagi mein yun mujhe koi kami nahin
Firaq Gorakhpuri
ghar ki wahshat se larazta hun magar jaane kyun
sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Iftikhar Arif
hum bhi ek sham bahut uljhe hue the KHud mein
ek sham us ko bhi haalat ne mohlat nahin di
Iftikhar Arif