'faraaz' tark-e-talluq to KHair kya hoga
yahi bahut hai ki kam kam mila karo us se
Ahmad Faraz
tu ne hi to chaha tha ki milta rahun tujh se
teri yahi marzi hai to achchha nahin milta
Ahmad Mushtaq
yar sab jama hue raat ki KHamoshi mein
koi ro kar to koi baal bana kar aaya
Ahmad Mushtaq
zindagi ke wo kisi moD pe gahe gahe
mil to jate hain mulaqat kahan hoti hai
Ahmad Rahi
gahe gahe ki mulaqat hi achchhi hai 'amir'
qadr kho deta hai har roz ka aana jaana
Ameer Minai
jam gai dhul mulaqat ke aainon par
mujh ko us ki na use meri zarurat koi
Asad Badayuni
musafir hain hum bhi musafir ho tum bhi
kisi moD par phir mulaqat hogi
Bashir Badr