kahan aansuon ki ye saughat hogi
nae log honge nai baat hogi
main har haal mein muskuraata rahunga
tumhaari mohabbat agar sath hogi
charaghon ko aankhon mein mahfuz rakhna
baDi dur tak raat hi raat hogi
pareshan ho tum bhi pareshan hun main bhi
chalo mai-kade mein wahin baat hogi
charaghon ki lau se sitaron ki zau tak
tumhein main milunga jahan raat hogi
jahan wadiyon mein nae phul aae
hamari tumhaari mulaqat hogi
sadaon ko alfaz milne na paen
na baadal ghirenge na barsat hogi
musafir hain hum bhi musafir ho tum bhi
kisi moD par phir mulaqat hogi
Ghazal
Kahan aansuon ki ye saughat hogi
Bashir Badr