duniya mein suragh-e-rah-e-duniya nahin milta
dariya mein utar jaen to dariya nahin milta
baqi to mukammal hai tamanna ki imarat
ek guzre hue waqt ka shisha nahin milta
jate hue har chiz yahin chhoD gaya tha
lauTa hun to ek dhup ka TukDa nahin milta
jo dil mein samae the wo ab shamil-e-dil hain
is aaine mein aks kisi ka nahin milta
tu ne hi to chaha tha ki milta rahun tujh se
teri yahi marzi hai to achchha nahin milta
dil mein to dhaDakne ki sada bhi nahin 'mushtaq'
raste mein hai wo bhiD ki rasta nahin milta
Ghazal
Duniya mein suragh-e-rah-e-duniya nahin milta
Ahmad Mushtaq