اردو हिंदी
Mausam Shayari | Shaahi Shayari

Mausam

5 Shers

jo un masum aankhon ne diye the
wo dhoke aaj tak main kha raha hun

Firaq Gorakhpuri




aati jati hai ja-ba-ja badli
saqiya jald aa hawa badli

Imam Bakhsh Nasikh


Tags: | Saqi | | Mausam | | 2 Lines Shayari |


sardi mein din sard mila
har mausam bedard mila

Mohammad Alvi




tumhaare shahr ka mausam baDa suhana lage
main ek sham chura lun agar bura na lage

Qaisar-ul-Jafri




dur tak chhae the baadal aur kahin saya na tha
is tarah barsat ka mausam kabhi aaya na tha

Qateel Shifai