sitaron se ulajhta ja raha hun
shab-e-furqat bahut ghabra raha hun
tere gham ko bhi kuchh bahla raha hun
jahan ko bhi samajhta ja raha hun
yaqin ye hai haqiqat khul rahi hai
guman ye hai ki dhoke kha raha hun
agar mumkin ho le le apni aahaT
KHabar do husn ko main aa raha hun
haden husn-o-mohabbat ki mila kar
qayamat par qayamat Dha raha hun
KHabar hai tujh ko ai zabt-e-mohabbat
tere hathon mein luTta ja raha hun
asar bhi le raha hun teri chup ka
tujhe qail bhi karta ja raha hun
bharam tere sitam ka khul chuka hai
main tujh se aaj kyun sharma raha hun
unhin mein raaz hain gul-bariyon ke
main jo chingariyan barsa raha hun
jo un masum aankhon ne diye the
wo dhoke aaj tak main kha raha hun
tere pahlu mein kyun hota hai mahsus
ki tujh se dur hota ja raha hun
had-e-jor-o-karam se baDh chala husn
nigah-e-yar ko yaad aa raha hun
jo uljhi thi kabhi aadam ke hathon
wo gutthi aaj tak suljha raha hun
mohabbat ab mohabbat ho chali hai
tujhe kuchh bhulta sa ja raha hun
ajal bhi jin ko sun kar jhumti hai
wo naghme zindagi ke ga raha hun
ye sannaTa hai mere panw ki chap
'firaq' apni kuchh aahaT pa raha hun
Ghazal
Sitaron se ulajhta ja raha hun
Firaq Gorakhpuri