kis tarah jama kijiye ab apne aap ko
kaghaz bikhar rahe hain purani kitab ke
Adil Mansuri
tujhe kitab se mumkin nahin faragh ki tu
kitab-KHwan hai magar sahib-e-kitab nahin
Allama Iqbal
jise paDhte to yaad aata tha tera phul sa chehra
hamari sab kitabon mein ek aisa bab rahta tha
Asad Badayuni
kaghaz mein dab ke mar gae kiDe kitab ke
diwana be-paDhe-likhe mashhur ho gaya
Bashir Badr
qabron mein nahin hum ko kitabon mein utaro
hum log mohabbat ki kahani mein maren hain
Ejaaz tawakkal
har ek qayas haqiqat se dur-tar nikla
kitab ka na koi dars mo'tabar nikla
Faza Ibn e Faizi
arud ke badle hathon mein aa jae kitab to achchha ho
ai kash hamari aankhon ka ikkiswan KHwab to achchha ho
Ghulam Mohammad Qasir